Monday, July 4, 2011

~:: Teri YAAD ::~

Na fikr-e-farda, na yaad-e-maazi
Na chain dil ko, na be-qaraari

Na hadd se guzra hua junoon
Na khaam'shi wo pehley jesi

Bus ik udaasi hai dheemi dheemi
Jo zindgi ke adhoorey pann ko
Hadon se aagey barha rahi hai

Shayed
Teri yaad aa rahi hai

Haan!
"Teri YAAD aa rahi hai"

No comments:

Post a Comment