Kuch khushi ke saye mein aur kuch ghamon ke sath sath
Zindagi ye katt rahi hai uljhanon ke sath sath
Aaj tak us ki thakan se dukh raha hai ye badan
Ek safar main ne kia tha khuwahishon ke sath sath
Kis tarah khaya hai dhoka, ye bhala kese kahoon
Doston ke mashwaray thay sazishon ke sath sath
Sheher mein kuch log mere chahney walay bhi thay
Phool bhi lag rahay thay patharon ke sath sath
Is dafa saawan mein us ki yaad ke baadal rahay
Is dafa main khoob roya baarishon ke sath sath
This blog is dedicated to all those who love poetry. I have collected this stuff in years. Hope you people like it ...
Tuesday, July 19, 2011
~:: Is dafa main khoob roya baarishon ke sath sath ::~
~:: Koi sunay ga to kya kahay ga ::~
Kisi ki khatir qarar khona, koi sunay ga to kya kahay ga?
Tumhara raaton ko uth ke rona, koi sunay ga to kya kahay ga?
Zamana ahd-e-shabab ka hai, naye khuwab-o-khayal ka hai
Ye shab'bedari aur din ka sona, koi sunay ga to kya kahay ga?
Bhanwar mein tum mujhey chor aatay, yunhi mohabbat ka raaz rehta
Laa ke sahil pe youn dubona, koi sunay ga to kya kahay ga?
Kaha ye main ne daro Khuda se, hamaray dil ko dukha rahay ho
Wo hans ke bolay, chup raho na, koi sunay ga to kya kahay ga?

Subscribe to:
Posts (Atom)