Tuesday, July 5, 2011

~:: Salook-e-na'rawa ka is liye ::~

Salook-e-na'rawa ka is liye shikwa nahi karta
Ke main bhi to kisi ki baat ki parwa nahi karta

Bohat chalaak hun, apni larai aap larta hun
Main dil ki baat kabhi deewar par likha nahi karta

Agar parr jaye aadat aap apney sath rehney ki
Ye sath aisa hai ke insan ko kabhi tanha nahi karta

Zameen pairon se kitni baar he din mein nikalti hai
Main aisey haadison pe dil magar chota nahi karta

Tera israar sar ankhon pe, Tujh ko bhool janey ka
Main koshish kar ke dekhoon ga, magar wada nahi karta

No comments:

Post a Comment